Pakistan Zindabad
Aao baccho sair karayain tum ko Pakistan
ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Mashriq
mein Bengal sunehra her ik taraf haryala hai
Yahan ka percham sonay aur chandi mein tulnay wala hai
Sailaboan
nay seencha is ko tufano nay pala hai
Yahan ka baccha baccha apni qaum pay marnay wala hai
Yaheen Siraj-ud-Daula
nay duniya apni qurban ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Deikho ye hai Sind yahan zaalim Dahir ka tola tha
Yaheen Mohammad Bin Qasim Allah 0 Akbar bola tha
Tuti huee talwaroan mein kya bijli thi kya shola tha
Hindi kay kuchh Ghazi thay lakhoan ka lashkar dola tha
Yahan kay zarray zarray mein ab daulat hai emaan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan
Zindabad Pakistan Zindabad
Ye apna Punjab saja hai haray bharay darbaroan say
Jaga diya Iqbal nay
is ko Aazadi kay naaroan say
Is kay jawano nay khela hai apnay khoon kay dharoan say
Dushman tharra jatay
hain ab bhi in ki lal karoan say
Qadam qadam per dhaag jami hai yahan kay sheir jawan ki
Jis ki khatir hum
nay dee qurbani lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Ye ilaqa sarhad ka hai is ki nirali
shaan yahan
Thokar mein zalzalay yahan hain muthi mein tufaan yahan
Sar pay kafan baandhay phirta hai deikho
her ik pathan yahan
Qaum kahay to abhi laga dain baazi ye sub jaan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani lakhoan
jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
Aik taraf Khyber deikho sarhad ki shaan barhata hai
Sheir-e-khuda
ki qu'at ka afsana ye dohtara hai
Aik taraf Kashmir hamay jannat ki yaad dilata hai
Ye Ravi aur Atak ka paani
amrit ko sharmata hai
Pyaray shaheedoan ka sadqa hai daulat Pakistan ki
Jis ki khatir hum nay dee qurbani
lakhoan jaan ki
Pakistan Zindabad Pakistan Zindabad
|